Friday, December 02, 2005

ishq me marne ka mujhe shauk nahi ,
mujhe to har kadam maarti hai zindagi...

khuda ki rehmat hai ki kafir hoon main,
shaam e tanhai me jaam haraam to nahi...

hazaron khwahishen mere bhi seene me hain ae galib,
bas tujhse do lafz udhaar mangta hoon.....

kismat ne laake chhora aise manjar pe
door tak koi maikhana na aaya nazar me,
ek shakhsa ne bola ki koi peeta nahi is sheher me,
par kuchh chup sa ho gaya, jo maine poochha ki,
kya koi jeeta nahi is sheher me??

jaise patanga jeeta hai shama me jalne ke liye,
hum bhi jeete hain tujh par marne ke liye,
gar na mar paaye tere karam se,
to zinda bhi na reh payenge is sitam se.

aaj dil me achanak kyun uthi hai shayari ki chaah,
shayad yeh dil bhi sunna chahta hai waah waah.

inteha
hum jise chahte hain beinteha,
uske sitam ki koi inteha hi nahi,
ek nazar milai aur muh fer liya,
mano but hoon main, zinda hi nahi.

sabra
wo kehte hain sabra ka fal meetha hota hai,
ya khuda itna sabra na karwa ki diabetes ho jaaye.

Intezaar
umar bhar tera intezaar kiya hai sabra se,
ab qasid ke kadamon ki aahat sunte hain kabra se.

insaan ke zurmon ki kya saza dega ae khuda,
khata to teri hai, kyun kiya khud se hume juda.

Powered By Blogger